January 02, 2021

 

Aaj Ka Din as usual normal hi tha. Aaj kuch special bhi nhi tha.

Aaj uthe 10 bje, 10 bje uthna thora late ho jaa rha h, ab se isko 9 bje krenge then dheere dheere 8. Waise bhi abhi uthne ka koi definite time isiliye nhi reh paa rha h kyoki abhi ghar pe h, jb bahar jayenge and classes start hoga tb jaake sb khud b khud format me aajayega.

Aaj Nahana To tha nhi, kyu ki kal hi nahaye the, Thanda ke time me km se km 3-4 din pe nahana chahiye. Mera bas chale to hum kb nahaye the hmko yaad bhi nhi rahega, Lekin jaisa ki har kisi ke sath hota Maa jabardasti nahwati h😂.

Uthe, Khaye, Phir padhne baithe. 1-1.5 hour padhe bhi ek bhai call kr diya. Wha se consistency bigar gya aur din ka pdhai 50% kharab ho gya. Kyoki uska call aya to baat krne lge, phir uth ke khane chale gye, phir thora ghar me ghoomne lge.

Kal se din se hi phone, Flight mode me rakhenge, Jis se bich me koi disturbance na aaye.

Hum book se padh ke itna to seekhe h ki 
Apne Life ko jitne ke liye aapko apne day ko jeetna hoga. Apne day ko arrange kariye. Us din ka Goal Bnaiye. Sare Distraction ko remove kariye. Aur Kaam pe joot jaiye. Hardwork kar ke raat ko sone time bhut acha feeling aata h. Yaar ek baar isko experience to karo. 

Hum social media detox pe h, 2 din ho chuka Facebook/Instagram dekhe hue, Kabhi Kabhi mn krta h lekin overall ab acha lag rha h, Social media is waste of intelligence. This is Your Life. Stop Crying. Work Ahead. 

Aaj ek friend ka phone aaya, wo bola ki ek ladki usko psnd aayi h, Hum pooche ki apni gf ko bta diya h ki koi aur psnd aayi h. To bola maar nhi khana h. To hum usko btaye ki uske hote hue dusre ko dekha bhi mt karo. 1 ghanta smjhaye tb jaake smjha. Undono ka Long Distance H. Dono me ekdusre pr Trust h jo ki Relationship ka Base h. Uske bina Ghanta Kuch nhi chalne wala h. Waise wo ladka shi h dhoka dene walo me se nhi h. Dono ka kaafi aage tk jayega.

Raat ko book padhe Think and Grow Rich.
Ab tk book ka concept h ki 
Agar aapko kuch chahiye to aap apne andar desire laao. Bina desire ke kuch nhi hone wala h. Pehle thaanlo ko ye karna h. Fhen uske bare me socho ki kaise karna h. Then start karo aur consistent raho. Success ke pehle defeat aata h. So get ready.
Ab 30 minutes me soyenge.

Loading...
Comments