June 03, 2025 ( Kuch Raaz)

 

Mai jeet kar bhi khud se haar gayi. 
Khuli kitab ban ghuma karti thi
N jaane zindagi ke kis syahi se Raaz Bunne Lag gayi.
Jaane kaho ya unjaane kuch pal ke chahto se haar gayi.
Khud ko aayine mai jab jab nihara karti lagta kya khubsurat khusmizaz bala hua karti.
Aaj aayine pucha karte hain mujhse kai sawal 
or mai har sawalon ko na jaane kyun muskura kar taal diya karti.

--

Kyun Hame Zindagi ke Raahon mai itne Kisse milte hain.?

Kai naye Chehre apne bankar bhi bichad jaate hain

Kuch Yaaden Yaad reh jaati hain. Or kuch waqt ke sath guzar jaya karti hain.

Na keh paaun sabdon se ye silsila hi kuch aisa hai.

--

Maine kabhi nahi socha tha mai aise unchahe rah par khud ko akela paungi ya mai akeli thi kuch saamajh nahi aa raha par khus hun mai sayad ya pata nahi bahut bikhri hun mai khud ko abhi bhi samet rahi hun 

 


Loading...
Comments