July 12, 2020

 

Dear Diary,


Kuch esi bann chuki hu main ki ab khud ke haal ko biyaan krne ke liye alfaaz he nahi milte.. sabh puchte hai kya huya kyu ho itne gum sum, ek zabardasti c muskurahat chehre pe laake keh deti hu, kuch nahi yaara bass office ke kam se kuch thaki huyi hu.. 


Kese samjhau us yaar ko ki kitna kuch chal hai mann mein ki samjh he nahi aata ki kaha se shuru kru.. or ye dard hai bhi toh esa jo baatne se kamm nhi hoga.. dil ka ye bojh batane se halka nahi hoga.. 


Kyu har din ek nanhi c jaan ko din bhar marte huye dekh ke bhi hamara dil nhi dukhta.. kyu usko itna dard dete waqt hamara zameer nahi darta.. kyu uspe hath uthate waqt hamara shareer nahi kapta.. kyu usko rulate waqt hamari aatma nahi roti.. kyu usko insaan na samjhne waqt hum apni insaaniyat ka khoon karr dete hai.. kaun haqk deta hai hamein kisi ko paiso ke dam pe unse unki zindagi cheen lene ka, unpe hukam krne ka, unko khareed lene ka..


Kyu bhul jaate hai hum ki har insaan mein bhagwan basta hai.. aur us bhagwan ko he ek roop main pujh ke dusre mein itna rulaoge toh kaha se milengi khushiyan.. kaha se milega mann ka sakoon..


Ye sabh bhi toh ek karam he hai na hamara.. or har karam ki saza issi zanam mein bhugtni padhti hai.. toh ab yaad rakhna ki agar bhagwan ab koi khawaish na puri kre toh uski wajah koi aur nhi tumhare he kiye huye bure karam hai..

Loading...
Comments